Tuesday, August 02, 2005

Kuch ansuni kahaniyan

Mere man mein ek shor hai,
kuch kahaniyan hain,
jo sunvayi chahati hain.

Ankhon se jhanktee ye kahaniyan,
Hothon tak aati hai kisi ko aata dekh.
Ye ummeed lekar ki sunvayi hogi.
dari sehmi si ye kahaniyan,
laut jati hain phir se,
man ke andhere kaune main.

samay ke saath
badthi jaati hain kahaniyan
badhta hai shabd se shabd ka takrav
aur badhta hai ..............
mere man ka shor

1 comment:

Vivek Sharma said...

adhbutt! sundar! Kripya hini mein aur kahiye, kehtay rahiye!