Monday, February 27, 2006

Soch


apne aap se hi baatein karna
hansna, rooth jaana
aur manane ki koshish karna
thak kar baith jaana kahin
aur phir shuru silsila wahi
dost main, hamdard main, humraaz mein
humsafar main or shayad raah bhi
khud ko khokar , khud mein khud ko dhoondhi main
aakhir kab tak bhatkoongi apni hi sooch mein
khud se khud ka silsila akhir kab tak chalega
kya is soch ki manzil hai koi?

2 comments:

Rajavel said...

mindblowing stuff !!! May be you should try a voice blog for this. It will be fantastic !!! Read it out record it and upload it !

Maren said...

didn't get anything of the text, but i love the pic=)